rangon aur khushbuon ki takhleeq se pehle
marne waale lamhe ki nam aankhon se
aainda ke khwaabon ki uryaani ka dukh jhaank raha tha
khat-e-shuur se aaj agar ham
us lamhe ki samt kabhi dekhen to rooh mein jaagti
geeli mitti ki awaaz sunaai deti hai
ye duniya to mite hue us daayere ki soorat ka aks hai
jis mein sochon aankhon aur harfon ke laakhon daayere larzaan hain
chaaron jaanib khushbuon ke aangan mein jalte hue rangon ki lahren
hawa ki dor se bandhi hui aisi kath-putliyaan hain
jo apne janam ki saaat se is pal tak
chup ki lay par naach rahi hain
jaane kab se uryaan khwaabon ka pairaahan pahne
aate jaate lamhon par chillaati hain
dekho ghaur se dekho
ye uryaani makhfi aur zaahir mein zinda raabte ki khaatir
apni asl ki jaanib jhukte insaano ke
wasl-talab-jazbon ki tarah sawaali hain
baaki daayere khaali hain
रंगों और ख़ुशबुओं की तख़्लीक़ से पहले
मरने वाले लम्हे की नम आँखों से
आइंदा के ख़्वाबों की उर्यानी का दुख झाँक रहा था
ख़त-ए-शुऊर से आज अगर हम
उस लम्हे की सम्त कभी देखें तो रूह में जागती
गीली मिट्टी की आवाज़ सुनाई देती है
ये दुनिया तो मिटे हुए उस दाएरे की सूरत का अक्स है
जिस में सोचों आँखों और हर्फ़ों के लाखों दाएरे लर्ज़ां हैं
चारों जानिब ख़ुशबुओं के आँगन में जलते हुए रंगों की लहरें
हवा की डोर से बंधी हुई ऐसी कठ-पुतलियाँ हैं
जो अपने जनम की साअत से इस पल तक
चुप की लय पर नाच रही हैं
जाने कब से उर्यां ख़्वाबों का पैराहन पहने
आते जाते लम्हों पर चिल्लाती हैं
देखो ग़ौर से देखो
ये उर्यानी मख़्फ़ी और ज़ाहिर में ज़िंदा राब्ते की ख़ातिर
अपनी अस्ल की जानिब झुकते इंसानों के
वस्ल-तलब-जज़्बों की तरह सवाली हैं
बाक़ी दाएरे ख़ाली हैं
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Jameel ur Rahman
As you were reading Pollution Shayari Shayari