baba aise mein tum yaad bahut aate ho
kaisi rut hai
aisi rut mein
aankhen kyun bhar aati hain
kyun tan-man se hook uthati hai
kyun jeevan be-ma'ni sa lagne lagta hai
ghar soona veeraan ye aangan
aur kamron mein vehshat
baabul main tanhaa
meri qeemat tujh bin kya hai
kuchh bhi nahin hai
main to kaanch ka moti hoon
baabul ka aangan to saawan mein yaad aaya karta hai
lekin baba main to patjhad dekh ke roti hoon
baba aise mein tum yaad bahut aate ho
raat ko sukhe patte
sahan mein girte hain
guzre din kab firte hain
phir aati rut phool khilenge
phir qabron par rona
aur qabron sa hona
mitti ki tah mein bhi ja kar
rishte kab mitte hain
dard ki deemak jism ko chaatati rahti hai
aur saanson ke dhaage kaatti rahti hai
बाबा ऐसे में तुम याद बहुत आते हो
कैसी रुत है
ऐसी रुत में
आँखें क्यों भर आती हैं
क्यों तन-मन से हूक उठती है
क्यों जीवन बे-मा'नी सा लगने लगता है
घर सूना वीरान ये आँगन
और कमरों में वहशत
बाबुल मैं तन्हा
मेरी क़ीमत तुझ बिन क्या है
कुछ भी नहीं है
मैं तो काँच का मोती हूँ
बाबुल का आँगन तो सावन में याद आया करता है
लेकिन बाबा मैं तो पतझड़ देख के रोती हूँ
बाबा ऐसे में तुम याद बहुत आते हो
रात को सूखे पत्ते
सहन में गिरते हैं
गुज़रे दिन कब फिरते हैं
फिर आती रुत फूल खिलेंगे
फिर क़ब्रों पर रोना
और क़ब्रों सा होना
मिट्टी की तह में भी जा कर
रिश्ते कब मिटते हैं
दर्द की दीमक जिस्म को चाटती रहती है
और साँसों के धागे काटती रहती है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Janan Malik
As you were reading Basant Shayari Shayari