guzar raha hai idhar se to muskurata ja
khile nahin hain jo gunche unhen khilaata ja
tujhe qasam hai sukoon-aazmaa nigaahon ki
kisi gareeb ki taqdeer ko jagaata ja
wahi nigaah wahi ik tabassum-e-rangeen
charaagh-e-anjuman-e-yaas ko bujhaata ja
junoon-nawaaz tiri mast-gaamiyon ke nisaar
kamand-e-hosh-o-khirad se mujhe chhudaata ja
fareb-khurda-e-bazm-e-hayaat hoon ya'ni
meri nigaah se ab ye hijaab uthaata ja
utha ke chehra-e-rangeen se pardaa-e-asraar
hareem-e-dil ko phir ik baar jagmagataa ja
गुज़र रहा है इधर से तो मुस्कुराता जा
खिले नहीं हैं जो ग़ुंचे उन्हें खिलाता जा
तुझे क़सम है सुकूँ-आज़मा निगाहों की
किसी ग़रीब की तक़दीर को जगाता जा
वही निगाह वही इक तबस्सुम-ए-रंगीं
चराग़-ए-अंजुमन-ए-यास को बुझाता जा
जुनूँ-नवाज़ तिरी मस्त-गामियों के निसार
कमंद-ए-होश-ओ-ख़िरद से मुझे छुड़ाता जा
फ़रेब-ख़ुर्दा-ए-बज़्म-ए-हयात हूँ या'नी
मिरी निगाह से अब ये हिजाब उठाता जा
उठा के चेहरा-ए-रंगीं से पर्दा-ए-असरार
हरीम-ए-दिल को फिर इक बार जगमगाता जा
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Jauhar Nizami
As you were reading Aankhein Shayari Shayari