us ke pahluu se lag ke chalte hain | उस के पहलू से लग के चलते हैं

  - Jaun Elia

us ke pahluu se lag ke chalte hain
ham kahi taalne se talte hain

band hai may-kadon ke darwaaze
ham to bas yoonhi chal nikalte hain

main usi tarah to bahalta hoon
aur sab jis tarah bahalte hain

vo hai jaan ab har ek mehfil ki
ham bhi ab ghar se kam nikalte hain

kya takalluf karein ye kehne mein
jo bhi khush hai ham us se jalte hain

hai use door ka safar dar-pesh
ham sambhaale nahin sambhalte hain

shaam furqat ki lahlaha uthi
vo hawa hai ki zakham bharte hain

hai ajab faisley ka sehra bhi
chal na padiye to paanv jalte hain

ho raha hoon main kis tarah barbaad
dekhne waale haath malte hain

tum bano rang tum bano khushboo
ham to apne sukhun mein dhalti hain

उस के पहलू से लग के चलते हैं
हम कहीं टालने से टलते हैं

बंद है मय-कदों के दरवाज़े
हम तो बस यूँही चल निकलते हैं

मैं उसी तरह तो बहलता हूँ
और सब जिस तरह बहलते हैं

वो है जान अब हर एक महफ़िल की
हम भी अब घर से कम निकलते हैं

क्या तकल्लुफ़ करें ये कहने में
जो भी ख़ुश है हम उस से जलते हैं

है उसे दूर का सफ़र दर-पेश
हम सँभाले नहीं सँभलते हैं

शाम फ़ुर्क़त की लहलहा उठी
वो हवा है कि ज़ख़्म भरते हैं

है अजब फ़ैसले का सहरा भी
चल न पड़िए तो पाँव जलते हैं

हो रहा हूँ मैं किस तरह बर्बाद
देखने वाले हाथ मलते हैं

तुम बनो रंग तुम बनो ख़ुशबू
हम तो अपने सुख़न में ढलते हैं

  - Jaun Elia

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaun Elia

As you were reading Shayari by Jaun Elia

Similar Writers

our suggestion based on Jaun Elia

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari