ye gham kya dil ki aadat hai nahin to
kisi se kuchh shikaayat hai nahin to
hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko
bhula dene ki niyat hai nahin to
kisi ke bin kisi ki yaad ke bin
jiye jaane ki himmat hai nahin to
kisi soorat bhi dil lagta nahin haan
to kuchh din se ye haalaat hai nahin to
tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha
vo ek jaati si vehshat hai nahin to
tere is haal par hai sab ko hairat
tujhe bhi is pe hairat hai nahin to
ham-aahangi nahin duniya se teri
tujhe is par nadaamat hai nahin to
vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu
yah daulat us ki qeemat hai nahin to
hua jo kuchh yahi maqsoom tha kya
yahi saari hikaayat hai nahin to
aziyat-naak ummeedon se tujhko
aman paane ki hasrat hai nahin to
tu rehta hai khyaal-o-khwaab mein gam
to is wajah se fursat hai nahin to
wahaan waalon se hai itni mohabbat
yahaan waalon se nafrat hai nahin to
sabab jo is judaai ka bana hai
vo mujhse khubsoorat hai nahin to
ये ग़म क्या दिल की 'आदत है नहीं तो
किसी से कुछ शिकायत है नहीं तो
है वो इक ख़्वाब-ए-बे-ताबीर उस को
भुला देने की नीयत है नहीं तो
किसी के बिन किसी की याद के बिन
जिए जाने की हिम्मत है नहीं तो
किसी सूरत भी दिल लगता नहीं हाँ
तो कुछ दिन से ये हालत है नहीं तो
तेरे इस हाल पर है सब को हैरत
तुझे भी इस पे हैरत है नहीं तो
हम-आहंगी नहीं दुनिया से तेरी
तुझे इस पर नदामत है नहीं तो
हुआ जो कुछ यही मक़्सूम था क्या
यही सारी हिकायत है नहीं तो
अज़िय्यत-नाक उम्मीदों से तुझको
अमाँ पाने की हसरत है नहीं तो
तू रहता है ख़याल-ओ-ख़्वाब में गुम
तो इसकी वज्ह फ़ुर्सत है नहीं तो
सबब जो इस जुदाई का बना है
वो मुझसे ख़ूबसूरत है नहीं तो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaun Elia
our suggestion based on Jaun Elia
As you were reading Udas Shayari Shayari