kahaan hatta hai nigaahon se hataaye haaye
wahi manzar ki jise dekh na paaye haaye
kya pata saari tamannaayein dhuaan ho gai hon
kuchh nikalta hi nahin dil se sivaae haaye
yaad aati hui ik shakl pe allah allah
dil mein uthati hui har tees pe haaye haaye
us gali ja ke bhi sajda na tumhein yaad raha
sirf nazrein hi jhukaaye chale aaye haaye
saari mushkil hi nihaan hai meri aasaani mein
kaun ye khasta si deewaar giraaye haaye
roz ik taaza chilam bhar ke mujhe de farhaad
aur phir qais mere paanv dabaye haaye
dil ke bekar dhadkane pe kahaan khush the miyaan
ham to phoole na samaaye b-sada-e-haaye
jab vo jaaye to mujhe kuchh bhi na bhaaye javvaad
aur jab aaye to kuchh aaye na jaaye haaye
कहाँ हटता है निगाहों से हटाए हाए
वही मंज़र कि जिसे देख न पाए हाए
क्या पता सारी तमन्नाएँ धुआँ हो गई हों
कुछ निकलता ही नहीं दिल से सिवाए हाए
याद आती हुई इक शक्ल पे अल्लाह अल्लाह
दिल में उठती हुई हर टीस पे हाए हाए
उस गली जा के भी सज्दा न तुम्हें याद रहा
सिर्फ़ नज़रें ही झुकाए चले आए हाए
सारी मुश्किल ही निहाँ है मिरी आसानी में
कौन ये ख़स्ता सी दीवार गिराए हाए
रोज़ इक ताज़ा चिलम भर के मुझे दे फ़रहाद
और फिर क़ैस मिरे पाँव दबाए हाए
दिल के बेकार धड़कने पे कहाँ ख़ुश थे मियाँ
हम तो फूले न समाए ब-सदा-ए-हाए
जब वो जाए तो मुझे कुछ भी न भाए 'जव्वाद'
और जब आए तो कुछ आए न जाए हाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jawwad Sheikh
our suggestion based on Jawwad Sheikh
As you were reading Khushi Shayari Shayari