ai mere noor-e-nazar lakht-e-jigar jaan-e-sukoon | ऐ मिरे नूर-ए-नज़र लख़्त-ए-जिगर जान-ए-सुकूँ

  - Kafeel Aazar Amrohvi

ai mere noor-e-nazar lakht-e-jigar jaan-e-sukoon
neend aana tujhe dushwaar nahin hai so ja
aise bad-bakht zamaane mein hazaaron honge
jin ko lori bhi mayassar nahin aati hogi
meri lori se tiri bhook nahin mit sakti
main ne maana ki tujhe bhook sataati hogi

lekin ai meri umeedon ke haseen taaj-mahal
main tiri bhook ko lori hi suna sakti hoon
tera rah rah ke ye rona nahin dekha jaata
ab tujhe doodh nahin khoon pila sakti hoon

bhook to tera muqaddar hai ghareebi ki qasam
bhook ki aag mein jal jal ke ye rona kaisa
tu to aadi hai isee tarah se so jaane ka
bhook ki god mein phir aaj na sona kaisa

aaj ki raat faqat tu hi nahin teri tarah
aur kitne hain jinhen bhook lagi hai bete
rotiyaan band hain armaaye ke tah-khaano mein
bhook is mulk ke kheton mein ugi hai bete

log kahte hain ki is mulk ke gaddaaron ne
sirf mehngaai badhaane ko chhupaaya hai anaaj
aise nadaar bhi is mulk mein so jaate hain
hal chalaae hain jinhon ne nahin paaya hai anaaj

tu hi is mulk mein nadaar nahin hai so ja
ai mere noor-e-nazar lakht-e-jigar jaan-e-sukoon
neend aana tujhe dushwaar nahin hai so ja

ऐ मिरे नूर-ए-नज़र लख़्त-ए-जिगर जान-ए-सुकूँ
नींद आना तुझे दुश्वार नहीं है सो जा
ऐसे बद-बख़्त ज़माने में हज़ारों होंगे
जिन को लोरी भी मयस्सर नहीं आती होगी
मेरी लोरी से तिरी भूक नहीं मिट सकती
मैं ने माना कि तुझे भूक सताती होगी

लेकिन ऐ मेरी उमीदों के हसीं ताज-महल
मैं तिरी भूक को लोरी ही सुना सकती हूँ
तेरा रह रह के ये रोना नहीं देखा जाता
अब तुझे दूध नहीं ख़ून पिला सकती हूँ

भूक तो तेरा मुक़द्दर है ग़रीबी की क़सम
भूक की आग में जल जल के ये रोना कैसा
तू तो आदी है इसी तरह से सो जाने का
भूक की गोद में फिर आज न सोना कैसा

आज की रात फ़क़त तू ही नहीं तेरी तरह
और कितने हैं जिन्हें भूक लगी है बेटे
रोटियाँ बंद हैं सरमाए के तह-ख़ानों में
भूक इस मुल्क के खेतों में उगी है बेटे

लोग कहते हैं कि इस मुल्क के ग़द्दारों ने
सिर्फ़ महँगाई बढ़ाने को छुपाया है अनाज
ऐसे नादार भी इस मुल्क में सो जाते हैं
हल चलाए हैं जिन्हों ने नहीं पाया है अनाज

तू ही इस मुल्क में नादार नहीं है सो जा
ऐ मिरे नूर-ए-नज़र लख़्त-ए-जिगर जान-ए-सुकूँ
नींद आना तुझे दुश्वार नहीं है सो जा

  - Kafeel Aazar Amrohvi

Khwab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kafeel Aazar Amrohvi

As you were reading Shayari by Kafeel Aazar Amrohvi

Similar Writers

our suggestion based on Kafeel Aazar Amrohvi

Similar Moods

As you were reading Khwab Shayari Shayari