vo mu'azzin tha
zara si der ko aa ya tha apne ghar
ye kehne ko
ki koi shor ho dastak ho
darwaaza na khologi
dariche band rakhhogi
hawaaein shehar ki badli hui hain
yahi taakeed kar ke vo waapas ho gaya tha
aur apni kothri mein band
us ki kaanpati biwi
kaleje se lagaaye nanhe bacchon ko
kisi sahmi hui chidiya ki soorat
par samete dam-b-khud baithi rahi
na jaane raat ke kitne pahar beete
fajr hone ko aayi
basharat baang ki soorat
kisi murge ne di thi subh hone ki
magar masjid ke mimbar se
bila-naaghaa buland hoti
mo'azzin ki sada chup thi
azaan-e-subh ghaaeb thi
वो मुअज़्ज़िन था
ज़रा सी देर को आ या था अपने घर
ये कहने को
कि कोई शोर हो दस्तक हो
दरवाज़ा न खोलोगी
दरीचे बंद रक्खोगी
हवाएँ शहर की बदली हुई हैं
यही ताकीद कर के वो वापस हो गया था
और अपनी कोठरी में बंद
उस की काँपती बीवी
कलेजे से लगाए नन्हे बच्चों को
किसी सहमी हुई चिड़िया की सूरत
पर समेटे दम-ब-ख़ुद बैठी रही
न जाने रात के कितने पहर बीते
फज्र होने को आई
बशारत बाँग की सूरत
किसी मुर्ग़े ने दी थी सुब्ह होने की
मगर मस्जिद के मिम्बर से
बिला-नाग़ा बुलंद होती
मोअज़्ज़िन की सदा चुप थी
अज़ान-ए-सुब्ह ग़ाएब थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kahkashan Tabassum
our suggestion based on Kahkashan Tabassum
As you were reading Gaon Shayari Shayari