lahu ki mauj mein jeena mere hisse mein aaya hai | लहू की मौज में जीना मिरे हिस्से में आया है

  - Kahkashan Tabassum

lahu ki mauj mein jeena mere hisse mein aaya hai
bhanwar banta hua dariya mere hisse mein aaya hai

sunhari ahad-e-maazi ki rivaayat ham se thi lekin
faqat deemak laga panna mere hisse mein aaya hai

parinde aashiyana chhod ke kis samt ja nikle
dukhon ka ik shajar tanhaa mere hisse mein aaya hai

ruphali chaandni us ko ameer-e-shahr ki bakshish
sulagti dhoop ka sehra mere hisse mein aaya hai

dariche khol ke bhi rut ka andaaza na kar paau
ajab dahshat-zada lamha mere hisse mein aaya hai

tabassum haath mein jugnoo liye dar-dar bhatkati hoon
ki ghaayal raat ka nauha mere hisse mein aaya hai

लहू की मौज में जीना मिरे हिस्से में आया है
भँवर बनता हुआ दरिया मिरे हिस्से में आया है

सुनहरी अहद-ए-माज़ी की रिवायत हम से थी लेकिन
फ़क़त दीमक लगा पन्ना मिरे हिस्से में आया है

परिंदे आशियाना छोड़ के किस सम्त जा निकले
दुखों का इक शजर तन्हा मिरे हिस्से में आया है

रुपहली चाँदनी उस को अमीर-ए-शहर की बख़्शिश
सुलगती धूप का सहरा मिरे हिस्से में आया है

दरीचे खोल के भी रुत का अंदाज़ा न कर पाऊँ
अजब दहशत-ज़दा लम्हा मिरे हिस्से में आया है

'तबस्सुम' हाथ में जुगनू लिए दर-दर भटकती हूँ
कि घायल रात का नौहा मिरे हिस्से में आया है

  - Kahkashan Tabassum

Ishaara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kahkashan Tabassum

As you were reading Shayari by Kahkashan Tabassum

Similar Writers

our suggestion based on Kahkashan Tabassum

Similar Moods

As you were reading Ishaara Shayari Shayari