phir mausam-e-yakh-basta badlne ki khabar de | फिर मौसम-ए-यख़-बस्ता बदलने की ख़बर दे - Kahkashan Tabassum

phir mausam-e-yakh-basta badlne ki khabar de
rag rag mein jamee barf pighalne ki khabar de

ya dil ke charaagon ko lahu aur ata kar
ya raah mein phir chaand nikalne ki khabar de

ya mausam-e-khush-rang koi bhej zameen par
ya gardish-e-aflaak badlne ki khabar de

bas udte bagule hain saraabo ke safar mein
edi koi chashme ke ubalne ki khabar de

dar band kiye log gharo mein hain muqayyad
aaseb-zada raat ke dhalne ki khabar de

bheegi hui lakdi hoon dhuaan deti hoon paharon
ab mujh ko meri aag mein jalne ki khabar de

akhbaar bhi dahshat ka tarasha hai tabassum
har subh faqat dil ke dahlane ki khabar de

फिर मौसम-ए-यख़-बस्ता बदलने की ख़बर दे
रग रग में जमी बर्फ़ पिघलने की ख़बर दे

या दिल के चराग़ों को लहू और अता कर
या राह में फिर चाँद निकलने की ख़बर दे

या मौसम-ए-ख़ुश-रंग कोई भेज ज़मीं पर
या गर्दिश-ए-अफ़्लाक बदलने की ख़बर दे

बस उड़ते बगूले हैं सराबों के सफ़र में
एड़ी कोई चश्मे के उबलने की ख़बर दे

दर बंद किए लोग घरों में हैं मुक़य्यद
आसेब-ज़दा रात के ढलने की ख़बर दे

भीगी हुइ लकड़ी हूँ धुआँ देती हूँ पहरों
अब मुझ को मिरी आग में जलने की ख़बर दे

अख़बार भी दहशत का तराशा है 'तबस्सुम'
हर सुब्ह फ़क़त दिल के दहलने की ख़बर दे

- Kahkashan Tabassum
0 Likes

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kahkashan Tabassum

As you were reading Shayari by Kahkashan Tabassum

Similar Writers

our suggestion based on Kahkashan Tabassum

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari