maange hai ik sitaara sar-e-aasmaan phir
dil ko ye zid ki soo-e-ufuq ho udaan phir
ab ai qafas nasheenon uthao dua ko haath
hai shaakh-shaakh mausam-e-vahm-o-gumaan phir
har lamha kis mahaaz ki jaanib safar mein hai
kheeche hue ragon mein lahu ki kamaan phir
daryaon ka ye chup to khatarnaak hai bahut
baandho buland shaakh par logo machaan phir
pehle khiraaj maang raha hai ameer-e-waqt
lautaaega vo shehar mein amn-o-amaan phir
dil tang ho gaya to zameen bhi hui hai tang
ham khwaab ke nagar mein banaayein makaan phir
in hichkiyon ka kuchh to sabab hoga kahkashaan
shaayad kisi ko aaya kahi mera dhyaan phir
माँगे है इक सितारा सर-ए-आसमान फिर
दिल को ये ज़िद कि सू-ए-उफ़ुक़ हो उड़ान फिर
अब ऐ क़फ़स नशीनों उठाओ दुआ को हाथ
है शाख़-शाख़ मौसम-ए-वहम-ओ-गुमान फिर
हर लम्हा किस महाज़ की जानिब सफ़र में है
खींचे हुए रगों में लहू की कमान फिर
दरियाओं का ये चुप तो ख़तरनाक है बहुत
बाँधो बुलंद शाख़ पर लोगो मचान फिर
पहले ख़िराज माँग रहा है अमीर-ए-वक़्त
लौटाएगा वो शहर में अम्न-ओ-अमान फिर
दिल तंग हो गया तो ज़मीं भी हुइ है तंग
हम ख़्वाब के नगर में बनाएँ मकान फिर
इन हिचकियों का कुछ तो सबब होगा 'कहकशाँ'
शायद किसी को आया कहीं मेरा ध्यान फिर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kahkashan Tabassum
our suggestion based on Kahkashan Tabassum
As you were reading Musafir Shayari Shayari