laai phir ik lagzish-e-mastaana tere shehar mein | लाई फिर इक लग़्ज़िश-ए-मस्ताना तेरे शहर में - Kaifi Azmi

laai phir ik lagzish-e-mastaana tere shehar mein
phir banengi masjidein may-khaana tere shehar mein

aaj phir tootengi tere ghar ki naazuk khidkiyaan
aaj phir dekha gaya deewaana tere shehar mein

jurm hai teri gali se sar jhuka kar lautna
kufr hai pathraav se ghabraana tere shehar mein

shaah-naame likkhe hain khandaraat ki har eent par
har jagah hai dafn ik afsaana tere shehar mein

kuch kaneezen jo hareem-e-naaz mein hain baaryaab
maangti hain jaan o dil nazraana tere shehar mein

nangi sadkon par bhatk kar dekh jab marti hai raat
rengta hai har taraf veeraana tere shehar mein

लाई फिर इक लग़्ज़िश-ए-मस्ताना तेरे शहर में
फिर बनेंगी मस्जिदें मय-ख़ाना तेरे शहर में

आज फिर टूटेंगी तेरे घर की नाज़ुक खिड़कियाँ
आज फिर देखा गया दीवाना तेरे शहर में

जुर्म है तेरी गली से सर झुका कर लौटना
कुफ़्र है पथराव से घबराना तेरे शहर में

शाह-नामे लिक्खे हैं खंडरात की हर ईंट पर
हर जगह है दफ़्न इक अफ़्साना तेरे शहर में

कुछ कनीज़ें जो हरीम-ए-नाज़ में हैं बारयाब
माँगती हैं जान ओ दिल नज़राना तेरे शहर में

नंगी सड़कों पर भटक कर देख जब मरती है रात
रेंगता है हर तरफ़ वीराना तेरे शहर में

- Kaifi Azmi
0 Likes

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Azmi

As you were reading Shayari by Kaifi Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Azmi

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari