ye dhoka ho na ho ummeed hi ma'aloom hoti hai | ये धोका हो न हो उम्मीद ही मा'लूम होती है

  - Kaifi Chirayyakoti

ye dhoka ho na ho ummeed hi ma'aloom hoti hai
ki mujh ko door se kuchh raushni ma'aloom hoti hai

khuda jaane kis andaaz-e-nazar se tum ne dekha hai
ki mujh ko zindagi ab zindagi ma'aloom hoti hai

isee ka naam shaayad zindagi ne yaas rakha hai
nafs ki jo khatk hai aakhiri ma'aloom hoti hai

hua hai husn se kuchh aur aks-e-husn-e-khuddaari
khamoshi un ke honton par hasi ma'aloom hoti hai

na aaya haath mere badh ke jo daaman inaayat ka
ye mehroomi talab ki kuchh kami ma'aloom hoti hai

jhukaaya aaj dar par ai zahe bakht-e-sar-afraazi
tiri rahmat qubool-e-bandagi ma'aloom hoti hai

tujhe apne liye dast-e-karam ye jaanta hoon main
ki tu hai jis qadar duniya wahi ma'aloom hoti hai

kahaan hoon kis taraf hoon main khabar is ki nahin mujh ko
yahi gum-gashtagi kuchh aagahi ma'aloom hoti hai

sar-e-mauj nafs kashti-e-dil ko kya kahoon kaafi
ubharti hai jahaan tak doobti ma'aloom hoti hai

ये धोका हो न हो उम्मीद ही मा'लूम होती है
कि मुझ को दूर से कुछ रौशनी मा'लूम होती है

ख़ुदा जाने किस अंदाज़-ए-नज़र से तुम ने देखा है
कि मुझ को ज़िंदगी अब ज़िंदगी मा'लूम होती है

इसी का नाम शायद ज़िंदगी ने यास रक्खा है
नफ़स की जो खटक है आख़िरी मा'लूम होती है

हुआ है हुस्न से कुछ और अक्स-ए-हुस्न-ए-ख़ुद-दारी
ख़मोशी उन के होंटों पर हँसी मा'लूम होती है

न आया हाथ मेरे बढ़ के जो दामन इनायत का
ये महरूमी तलब की कुछ कमी मा'लूम होती है

झुकाया आज दर पर ऐ ज़हे बख़्त-ए-सर-अफ़राज़ी
तिरी रहमत क़ुबूल-ए-बंदगी मा'लूम होती है

तुझे अपने लिए दस्त-ए-करम ये जानता हूँ मैं
कि तू है जिस क़दर दुनिया वही मा'लूम होती है

कहाँ हूँ किस तरफ़ हूँ मैं ख़बर इस की नहीं मुझ को
यही गुम-गश्तगी कुछ आगही मा'लूम होती है

सर-ए-मौज नफ़स कश्ती-ए-दिल को क्या कहूँ 'कैफ़ी'
उभरती है जहाँ तक डूबती मा'लूम होती है

  - Kaifi Chirayyakoti

Bahana Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Chirayyakoti

As you were reading Shayari by Kaifi Chirayyakoti

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Chirayyakoti

Similar Moods

As you were reading Bahana Shayari Shayari