sau daagh tamannaon ke ham khaaye hue hain
gul jitne hain is baagh mein murjhaaye hue hain
sharminda hoon main apni duaon ke asar se
vo aaj pareshaan hain ghabraaye hue hain
khuddaari-e-gesoo ka hai us rukh pe ye aalam
jhukna jo pada un ko to bal khaaye hue hain
ab tum bhi zara husn-e-jahaan-soz ko roko
ham to dil-e-be-taab ko samjhaaye hue hain
ai dast-e-karam fenk de kaunain ko is mein
daaman ko tire saamne failaaye hue hain
phodenge jabeen ab tire dar par tire muhtaaj
barbaad hain taqdeer ke thukraaye hue hain
aata hai badha bahr-e-karam josh mein kaafi
ham apne gunaahon pe jo sharmaae hue hain
सौ दाग़ तमन्नाओं के हम खाए हुए हैं
गुल जितने हैं इस बाग़ में मुरझाए हुए हैं
शर्मिंदा हूँ मैं अपनी दुआओं के असर से
वो आज परेशान हैं घबराए हुए हैं
ख़ुद्दारी-ए-गेसू का है उस रुख़ पे ये आलम
झुकना जो पड़ा उन को तो बल खाए हुए हैं
अब तुम भी ज़रा हुस्न-ए-जहाँ-सोज़ को रोको
हम तो दिल-ए-बे-ताब को समझाए हुए हैं
ऐ दस्त-ए-करम फेंक दे कौनैन को इस में
दामन को तिरे सामने फैलाए हुए हैं
फोड़ेंगे जबीं अब तिरे दर पर तिरे मुहताज
बर्बाद हैं तक़दीर के ठुकराए हुए हैं
आता है बढ़ा बहर-ए-करम जोश में 'कैफ़ी'
हम अपने गुनाहों पे जो शरमाए हुए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Chirayyakoti
our suggestion based on Kaifi Chirayyakoti
As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari