jis qadar hain husn ki zebaaiyaan | जिस क़दर हैं हुस्न की ज़ेबाइयाँ

  - Kaifi Chirayyakoti

jis qadar hain husn ki zebaaiyaan
us qadar hain ishq ki ruswaaiyaan

meri jaanib hai rukh-e-tasveer-e-dost
loot leen is ne meri tanhaaiyaan

dene waale ab to daaman bhi nahin
is qadar teri karam-farmaiyaan

husn ka naaz-e-pashemaan dekh kar
ishq ko aane lagin angadaaiyaan

ho gaya mushkil tira pehchaanaa
roz-afzoon hain tiri raanaaiyaan

gham ki shab kaafi mera koi nahin
door mujh se ho gaeein parchaaiyaan

जिस क़दर हैं हुस्न की ज़ेबाइयाँ
उस क़दर हैं इश्क़ की रुस्वाइयाँ

मेरी जानिब है रुख़-ए-तस्वीर-ए-दोस्त
लूट लीं इस ने मिरी तन्हाइयाँ

देने वाले अब तो दामन भी नहीं
इस क़दर तेरी करम-फ़रमाइयाँ

हुस्न का नाज़-ए-पशेमाँ देख कर
इश्क़ को आने लगीं अंगड़ाइयाँ

हो गया मुश्किल तिरा पहचानना
रोज़-अफ़्ज़ूँ हैं तिरी रानाइयाँ

ग़म की शब 'कैफ़ी' मिरा कोई नहीं
दूर मुझ से हो गईं परछाइयाँ

  - Kaifi Chirayyakoti

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Chirayyakoti

As you were reading Shayari by Kaifi Chirayyakoti

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Chirayyakoti

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari