taaron waali raat ka aalam peene aur pilaane se
saaqi ne may kheench ke rakh di goya daane daane se
taar-e-garebaan seene waale chaak-b-daman aaye hain
ya'ni kuchh taqdeer na suljhi uljhi thi deewane se
raat nahin ye zeest ka din hai hosh mein aa barbaad na kar
sham'a faqat mehmaan-e-sehr hai kaun kahe parwaane se
dair-o-haram se uthne waale aaye hain maykhaane mein
is pe agar taqdeer utha de jaayen kahaan maykhaane se
josh-e-junoon sa rahbar ho to hosh ki manzil door nahin
deewane ne raah bana di basti tak veeraane se
saaqi ke andaaz ko dekho be-khud peene waalon mein
milti hai may qismat se go batti hai paimaane se
zarf meri qismat ka bhara hai aap nigah-e-saaqi ne
paimaane ko khum se mili aur khum ko mili paimaane se
umr-e-do-rozaa kaafi ki yun kat hi gai yun katni thi
kaam raha paimaane se aur saaqi ke maykhaane se
तारों वाली रात का आलम पीने और पिलाने से
साक़ी ने मय खींच के रख दी गोया दाने दाने से
तार-ए-गरेबाँ सीने वाले चाक-ब-दामन आए हैं
या'नी कुछ तक़दीर न सुलझी उलझी थी दीवाने से
रात नहीं ये ज़ीस्त का दिन है होश में आ बर्बाद न कर
शम्अ' फ़क़त मेहमान-ए-सहर है कौन कहे परवाने से
दैर-ओ-हरम से उठने वाले आए हैं मयख़ाने में
इस पे अगर तक़दीर उठा दे जाएँ कहाँ मयख़ाने से
जोश-ए-जुनूँ सा रहबर हो तो होश की मंज़िल दूर नहीं
दीवाने ने राह बना दी बस्ती तक वीराने से
साक़ी के अंदाज़ को देखो बे-ख़ुद पीने वालों में
मिलती है मय क़िस्मत से गो बटती है पैमाने से
ज़र्फ़ मिरी क़िस्मत का भरा है आप निगाह-ए-साक़ी ने
पैमाने को ख़ुम से मिली और ख़ुम को मिली पैमाने से
उम्र-ए-दो-रोज़ा 'कैफ़ी' की यूँ कट ही गई यूँ कटनी थी
काम रहा पैमाने से और साक़ी के मयख़ाने से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Chirayyakoti
our suggestion based on Kaifi Chirayyakoti
As you were reading Justaju Shayari Shayari