kar ke dil-e-naalaan se mere saaz kisi ne
di hai mujhe parde se ye awaaz kisi ne
is dil ka hai jo dard wahi jaan hai dil ki
samjha na kabhi ishq ka ye raaz kisi ne
vaa baab-e-qafas aur hoon main baab-e-qafas par
jaise ki uda li par-e-parvaaz kisi ne
taqdeer mein jo kuchh meri hansna hai ki rona
baksha wahi dil ko mere andaaz kisi ne
har ashk ka qatra tha fasana mere dil ka
dekha na mera deeda-e-ghammaaz kisi ne
di mujh ko tadap vo bhi b-qadr-e-dil-e-betaab
main kya ki ye samjha na tira raaz kisi ne
har sher hai dooba hua taaseer mein kaafi
baksha hai mujhe khaama-e-e'jaaz kisi ne
कर के दिल-ए-नालाँ से मिरे साज़ किसी ने
दी है मुझे पर्दे से ये आवाज़ किसी ने
इस दिल का है जो दर्द वही जान है दिल की
समझा न कभी इश्क़ का ये राज़ किसी ने
वा बाब-ए-क़फ़स और हूँ मैं बाब-ए-क़फ़स पर
जैसे कि उड़ा ली पर-ए-पर्वाज़ किसी ने
तक़दीर में जो कुछ मिरी हँसना है कि रोना
बख़्शा वही दिल को मिरे अंदाज़ किसी ने
हर अश्क का क़तरा था फ़साना मिरे दिल का
देखा न मिरा दीदा-ए-ग़म्माज़ किसी ने
दी मुझ को तड़प वो भी ब-क़द्र-ए-दिल-ए-बेताब
मैं क्या कि ये समझा न तिरा राज़ किसी ने
हर शेर है डूबा हुआ तासीर में 'कैफ़ी'
बख़्शा है मुझे ख़ामा-ए-ए'जाज़ किसी ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Chirayyakoti
our suggestion based on Kaifi Chirayyakoti
As you were reading I love you Shayari Shayari