jo kuchh tha muqaddar mein gawara to nahin tha
dar-parda kahi un ka ishaara to nahin tha
jitni thi khatk saans ki kul naghma-e-jaan thi
kya tum ne mujhe hans ke pukaara to nahin tha
ta-zeest mujhe jaan-e-hazeen bakhshne waale
is mein koi andaaz tumhaara to nahin tha
ro ro ke qayamat ka liya naam kisi ne
koi tiri ummeed ka maara to nahin tha
toote hue kyun dil ko mere dekh rahe ho
aansu tha meri subh ka taara to nahin tha
muddat se bada naam hai firdaus ka kaafi
gesu ko kahi us ne sanwaara to nahin tha
जो कुछ था मुक़द्दर में गवारा तो नहीं था
दर-पर्दा कहीं उन का इशारा तो नहीं था
जितनी थी खटक साँस की कुल नग़्मा-ए-जाँ थी
क्या तुम ने मुझे हँस के पुकारा तो नहीं था
ता-ज़ीस्त मुझे जान-ए-हज़ीं बख़्शने वाले
इस में कोई अंदाज़ तुम्हारा तो नहीं था
रो रो के क़यामत का लिया नाम किसी ने
कोई तिरी उम्मीद का मारा तो नहीं था
टूटे हुए क्यों दिल को मिरे देख रहे हो
आँसू था मिरी सुब्ह का तारा तो नहीं था
मुद्दत से बड़ा नाम है फ़िरदौस का 'कैफ़ी'
गेसू को कहीं उस ने सँवारा तो नहीं था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Chirayyakoti
our suggestion based on Kaifi Chirayyakoti
As you were reading Zulf Shayari Shayari