chaak seene ka b-andaaz-e-jigar ho ki na ho
aur phir lazzat-e-jaan zaauq-e-asr ho ki na ho
tujh se ai sham'a sar-e-shaam hi ruksat ho luun
shab basar ho ki na ho waqt-e-sehr ho ki na ho
umr-e-nazzaara usi jalwe pe qurbaan kar doon
phir kabhi aur mujhe taab-e-nazar ho ki na ho
ab jahaan vo hain mera hosh wahin hai ai dil
be-khabar main hoon unhen is ki khabar ho ki na ho
apne mahshar ki sehar bhej hi de ab yaarab
ya'ni tanhaa hai meri raat basar ho ki na ho
is qadar pooch to lo roo-e-sehar se kaafi
us pe rang-e-asr-e-deeda-e-tar ho ki na ho
चाक सीने का ब-अंदाज़-ए-जिगर हो कि न हो
और फिर लज़्ज़त-ए-जाँ ज़ौक़-ए-असर हो कि न हो
तुझ से ऐ शम्अ' सर-ए-शाम ही रुख़्सत हो लूँ
शब बसर हो कि न हो वक़्त-ए-सहर हो कि न हो
उम्र-ए-नज़्ज़ारा उसी जल्वे पे क़ुर्बां कर दूँ
फिर कभी और मुझे ताब-ए-नज़र हो कि न हो
अब जहाँ वो हैं मिरा होश वहीं है ऐ दिल
बे-ख़बर मैं हूँ उन्हें इस की ख़बर हो कि न हो
अपने महशर की सहर भेज ही दे अब यारब
या'नी तन्हा है मिरी रात बसर हो कि न हो
इस क़दर पूछ तो लो रू-ए-सहर से 'कैफ़ी'
उस पे रंग-ए-असर-ए-दीदा-ए-तर हो कि न हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Chirayyakoti
our suggestion based on Kaifi Chirayyakoti
As you were reading Mashwara Shayari Shayari