umr kaar-e-jahaan se guzri hai | उम्र कार-ए-जहाँ से गुज़री है

  - Kaifi Chirayyakoti

umr kaar-e-jahaan se guzri hai
gardish-e-aasmaan se guzri hai

dekhta hoon shabaab ko mud kar
zindagaani yahan se guzri hai

dil ki roodaad kaif ka aalam
dastaan dastaan se guzri hai

raat be-jaam-o-khosa-e-angoor
uf nazar kahkashaan se guzri hai

zindagaani-e-kaahish-e-ummeed
meri umr-e-ravaan se guzri hai

ye hua hai ki ab meri ummeed
dil mein hai raah-e-jaan se guzri hai

be-khudi ke karam se ai kaafi
khoob peer-e-mugaan se guzri hai

उम्र कार-ए-जहाँ से गुज़री है
गर्दिश-ए-आसमाँ से गुज़री है

देखता हूँ शबाब को मुड़ कर
ज़िंदगानी यहाँ से गुज़री है

दिल की रूदाद कैफ़ का आलम
दास्ताँ दास्ताँ से गुज़री है

रात बे-जाम-ओ-ख़ोशा-ए-अंगूर
उफ़ नज़र कहकशाँ से गुज़री है

ज़िंदगानी-ए-काहिश-ए-उम्मीद
मेरी उम्र-ए-रवाँ से गुज़री है

ये हुआ है कि अब मिरी उम्मीद
दिल में है राह-ए-जाँ से गुज़री है

बे-ख़ुदी के करम से ऐ 'कैफ़ी'
ख़ूब पीर-ए-मुग़ाँ से गुज़री है

  - Kaifi Chirayyakoti

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Chirayyakoti

As you were reading Shayari by Kaifi Chirayyakoti

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Chirayyakoti

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari