kisi bargad ka sar-e-raah na ehsaan liya | किसी बरगद का सर-ए-राह न एहसान लिया

  - Kailash Mahir

kisi bargad ka sar-e-raah na ehsaan liya
apna saaya tha kaddi dhoop mein khud taan liya

bhes badle to bahut ham ne hawa ke dar se
sang-o-deewaar ne har shehar mein pehchaan liya

log khwaabon ke dareechon mein chhupe baithe hain
haakim-e-shahr ne har shakhs ka eimaan liya

naqd-e-jaan kufr ki basti mein chhupaaya to bahut
sang-saaron ne magar door se pehchaan liya

sar mein sauda tha nigaahon ka safar lamba tha
ham ne ik shakhs ko ghabra ke khuda maan liya

jo bhi saaya mila ham chal pade peeche peeche
raasta ishq mein ham ne bahut aasaan liya

koi chehre se raqeebon ke na sarkaaye naqaab
bewafa kaun hai kitna hai bahut jaan liya

किसी बरगद का सर-ए-राह न एहसान लिया
अपना साया था कड़ी धूप में ख़ुद तान लिया

भेस बदले तो बहुत हम ने हवा के डर से
संग-ओ-दीवार ने हर शहर में पहचान लिया

लोग ख़्वाबों के दरीचों में छुपे बैठे हैं
हाकिम-ए-शहर ने हर शख़्स का ईमान लिया

नक़्द-ए-जाँ कुफ़्र की बस्ती में छुपाया तो बहुत
संग-सारों ने मगर दूर से पहचान लिया

सर में सौदा था निगाहों का सफ़र लम्बा था
हम ने इक शख़्स को घबरा के ख़ुदा मान लिया

जो भी साया मिला हम चल पड़े पीछे पीछे
रास्ता इश्क़ में हम ने बहुत आसान लिया

कोई चेहरे से रक़ीबों के न सरकाए नक़ाब
बेवफ़ा कौन है कितना है बहुत जान लिया

  - Kailash Mahir

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kailash Mahir

As you were reading Shayari by Kailash Mahir

Similar Writers

our suggestion based on Kailash Mahir

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari