saaye hain gosh-bar-awaaz zara aahista | साए हैं गोश-बर-आवाज़ ज़रा आहिस्ता

  - Kailash Mahir

saaye hain gosh-bar-awaaz zara aahista
moniso aaj ki shab zikr-e-wafa aahista

chaand ke paanv ruke tham gaye udte baadal
zikr kis aariz-o-gesoo ka chala aahista

kitne din aaye kafan odhe hue khwaabon ka
shab ne khuli tiri yaadon ki qaba aahista

kya khabar agle baras ajnabi ho jaayen ham
tootte jaate hain paimaan-e-wafa aahista

aaj phir zakhm-e-tamanna se mahak uthati hai
koi paighaam liye aayi saba aahista

aankh ne dekha na ho dil to magar jaane hai
kaun deta hai dareechon pe sada aahista

साए हैं गोश-बर-आवाज़ ज़रा आहिस्ता
मोनिसो आज की शब ज़िक्र-ए-वफ़ा आहिस्ता

चाँद के पाँव रुके थम गए उड़ते बादल
ज़िक्र किस आरिज़-ओ-गेसू का चला आहिस्ता

कितने दिन आए कफ़न ओढ़े हुए ख़्वाबों का
शब ने खोली तिरी यादों की क़बा आहिस्ता

क्या ख़बर अगले बरस अजनबी हो जाएँ हम
टूटते जाते हैं पैमान-ए-वफ़ा आहिस्ता

आज फिर ज़ख़्म-ए-तमन्ना से महक उठती है
कोई पैग़ाम लिए आई सबा आहिस्ता

आँख ने देखा न हो दिल तो मगर जाने है
कौन देता है दरीचों पे सदा आहिस्ता

  - Kailash Mahir

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kailash Mahir

As you were reading Shayari by Kailash Mahir

Similar Writers

our suggestion based on Kailash Mahir

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari