dar-o-deewar se saaya bhi na ubhara koi
ab tire shehar mein hoga bhi na ham sa koi
har dariche mein khada hai koi gautam ban kar
ghar ki tanhaai ka ab naam na lega koi
wahi toota hua lamha tha muqaddar apna
jaise jag beet gaye khwaab na dekha koi
ek deewaar thi khushboo ki jo haa'il hi rahi
jism-dar-jism mere saamne aaya koi
दर-ओ-दीवार से साया भी न उभरा कोई
अब तिरे शहर में होगा भी न हम सा कोई
हर दरीचे में खड़ा है कोई गौतम बन कर
घर की तन्हाई का अब नाम न लेगा कोई
वही टूटा हुआ लम्हा था मुक़द्दर अपना
जैसे जग बीत गए ख़्वाब न देखा कोई
एक दीवार थी ख़ुशबू की जो हाइल ही रही
जिस्म-दर-जिस्म मिरे सामने आया कोई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kailash Mahir
our suggestion based on Kailash Mahir
As you were reading Ghar Shayari Shayari