koo-e-qaatil hai magar jaane ko jee chahe hai
ab to kuchh faisla kar jaane ko jee chahe hai
log apne dar-o-deewar se hoshiyaar rahein
aaj deewane ka ghar jaane ko jee chahe hai
dard aisa hai ki jee chahe hai zinda rahiye
zindagi aisi ki mar jaane ko jee chahe hai
dil ko zakhamon ke siva kuchh na diya phoolon ne
ab to kaanton mein utar jaane ko jee chahe hai
chaanv va'don ki hai bas dhoka hi dhoka ai dil
mat thehar garche thehar jaane ko jee chahe hai
zindagi mein hai vo uljhan ki pareshaan ho kar
zulf ki tarah bikhar jaane ko jee chahe hai
qatl karne ki ada bhi haseen qaateel bhi haseen
na bhi marna ho to mar jaane ko jee chahe hai
jee ye chahe hai ki poochoon kabhi un zulfon se
kya tumhaara bhi sanwar jaane ko jee chahe hai
rasn-o-daar idhar kaakul-o-rukhsaar udhar
dil bata tera kidhar jaane ko jee chahe hai
कू-ए-क़ातिल है मगर जाने को जी चाहे है
अब तो कुछ फ़ैसला कर जाने को जी चाहे है
लोग अपने दर-ओ-दीवार से होशियार रहें
आज दीवाने का घर जाने को जी चाहे है
दर्द ऐसा है कि जी चाहे है ज़िंदा रहिए
ज़िंदगी ऐसी कि मर जाने को जी चाहे है
दिल को ज़ख़्मों के सिवा कुछ न दिया फूलों ने
अब तो काँटों में उतर जाने को जी चाहे है
छाँव वा'दों की है बस धोका ही धोका ऐ दिल
मत ठहर गरचे ठहर जाने को जी चाहे है
ज़िंदगी में है वो उलझन कि परेशाँ हो कर
ज़ुल्फ़ की तरह बिखर जाने को जी चाहे है
क़त्ल करने की अदा भी हसीं क़ातिल भी हसीं
न भी मरना हो तो मर जाने को जी चाहे है
जी ये चाहे है कि पूछूँ कभी उन ज़ुल्फ़ों से
क्या तुम्हारा भी सँवर जाने को जी चाहे है
रसन-ओ-दार इधर काकुल-ओ-रुख़्सार उधर
दिल बता तेरा किधर जाने को जी चाहे है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz
our suggestion based on Kaleem Aajiz
As you were reading Jalwa Shayari Shayari