mat bura us ko kaho garche vo achha bhi nahin | मत बुरा उस को कहो गरचे वो अच्छा भी नहीं

  - Kaleem Aajiz

mat bura us ko kaho garche vo achha bhi nahin
vo na hota to ghazal main kabhi kehta bhi nahin

jaanta tha ki sitamgar hai magar kya kijeye
dil lagaane ke liye aur koi tha bhi nahin

jaisa be-dard ho vo phir bhi ye jaisa mehboob
aisa koi na hua aur koi hoga bhi nahin

wahi hoga jo hua hai jo hua karta hai
main ne is pyaar ka anjaam to socha bhi nahin

haaye kya dil hai ki lene ke liye jaata hai
us se paimaan-e-wafa jis pe bharosa bhi nahin

baarha guftugoo hoti rahi lekin mera naam
us ne poocha bhi nahin main ne bataaya bhi nahin

tohfa zakhamon ka mujhe bhej diya karta hai
mujh se naaraz hai lekin mujhe bhoola bhi nahin

dosti us se nibah jaaye bahut mushkil hai
mera to wa'da hai us ka to iraada bhi nahin

mere ashaar vo sun sun ke maze leta raha
main usi se hoon mukhaatib vo ye samjha bhi nahin

mere vo dost mujhe daad-e-sukhan kya denge
jin ke dil ka koi hissa zara toota bhi nahin

mujh ko banna pada sha'ir ki main adnaa gham-e-dil
zabt bhi kar na saka phoot ke roya bhi nahin

shaayri jaisi ho aajiz ki bhali ho ki buri
aadmi achha hai lekin bahut achha bhi nahin

मत बुरा उस को कहो गरचे वो अच्छा भी नहीं
वो न होता तो ग़ज़ल मैं कभी कहता भी नहीं

जानता था कि सितमगर है मगर क्या कीजे
दिल लगाने के लिए और कोई था भी नहीं

जैसा बे-दर्द हो वो फिर भी ये जैसा महबूब
ऐसा कोई न हुआ और कोई होगा भी नहीं

वही होगा जो हुआ है जो हुआ करता है
मैं ने इस प्यार का अंजाम तो सोचा भी नहीं

हाए क्या दिल है कि लेने के लिए जाता है
उस से पैमान-ए-वफ़ा जिस पे भरोसा भी नहीं

बारहा गुफ़्तुगू होती रही लेकिन मिरा नाम
उस ने पूछा भी नहीं मैं ने बताया भी नहीं

तोहफ़ा ज़ख़्मों का मुझे भेज दिया करता है
मुझ से नाराज़ है लेकिन मुझे भूला भी नहीं

दोस्ती उस से निबह जाए बहुत मुश्किल है
मेरा तो वा'दा है उस का तो इरादा भी नहीं

मेरे अशआर वो सुन सुन के मज़े लेता रहा
मैं उसी से हूँ मुख़ातिब वो ये समझा भी नहीं

मेरे वो दोस्त मुझे दाद-ए-सुख़न क्या देंगे
जिन के दिल का कोई हिस्सा ज़रा टूटा भी नहीं

मुझ को बनना पड़ा शाइ'र कि मैं अदना ग़म-ए-दिल
ज़ब्त भी कर न सका फूट के रोया भी नहीं

शाइरी जैसी हो 'आजिज़' की भली हो कि बुरी
आदमी अच्छा है लेकिन बहुत अच्छा भी नहीं

  - Kaleem Aajiz

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari