urooj auron ko kuchh din hai ahraman ki tarah
farogh kis ko hai rindon ke baankpan ki tarah
mera khayal nahin hai to aur kya hoga
guzar gaya tire maathe se jo shikan ki tarah
ye sar-zameen-e-gul-o-laala so bhi jaati hai
libaada barf ka odhe hue kafan ki tarah
kabhi to guzroonga is rahguzar se ho kar
khud apni taak mein baitha hoon raahzan ki tarah
khizaan ka khauf mujhe khaaye ja raha hai kamaal
chinaar surkh na hon aatish-e-sukhan ki tarah
उरूज औरों को कुछ दिन है अहरमन की तरह
फ़रोग़ किस को है रिंदों के बाँकपन की तरह
मिरा ख़याल नहीं है तो और क्या होगा
गुज़र गया तिरे माथे से जो शिकन की तरह
ये सर-ज़मीन-ए-गुल-ओ-लाला सो भी जाती है
लिबादा बर्फ़ का ओढ़े हुए कफ़न की तरह
कभी तो गुज़रूँगा इस रहगुज़ार से हो कर
ख़ुद अपनी ताक में बैठा हूँ राहज़न की तरह
ख़िज़ाँ का ख़ौफ़ मुझे खाए जा रहा है 'कमाल'
चिनार सुर्ख़ न हों आतिश-ए-सुख़न की तरह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kamal Ahmad Siddiqi
our suggestion based on Kamal Ahmad Siddiqi
As you were reading I Miss you Shayari Shayari