baatein jo theen durust purane nisaab mein | बातें जो थीं दुरुस्त पुराने निसाब में

  - Kamal Ahmad Siddiqi

baatein jo theen durust purane nisaab mein
un mein se ek bhi to nahin hai kitaab mein

mahroomiyon ne bazm sajaai hai khwaab mein
sab ke alag alag hain manaazir saraab mein

paani ki tarah ahl-e-hawas ne sharaab pee
likkhi gai hai tishna-labon ke hisaab mein

sab naam hain durust magar waqia galat
har baat sach nahin jo likhi hai kitaab mein

sad-aatisha agar ho tira rang-roop hai
jo rang phool mein hai nasha hai sharaab mein

us ka to ek lafz bhi ham ko nahin hai yaad
kal raat ek sher kaha tha jo khwaab mein

kuchh sher shaayad us ko pasand aa gaye kamaal
honton ke kuchh nishaan hain tumhaari kitaab mein

बातें जो थीं दुरुस्त पुराने निसाब में
उन में से एक भी तो नहीं है किताब में

महरूमियों ने बज़्म सजाई है ख़्वाब में
सब के अलग अलग हैं मनाज़िर सराब में

पानी की तरह अहल-ए-हवस ने शराब पी
लिक्खी गई है तिश्ना-लबों के हिसाब में

सब नाम हैं दुरुस्त मगर वाक़िआ ग़लत
हर बात सच नहीं जो लिखी है किताब में

सद-आतिशा अगर हो तिरा रंग-रूप है
जो रंग फूल में है नशा है शराब में

उस का तो एक लफ़्ज़ भी हम को नहीं है याद
कल रात एक शेर कहा था जो ख़्वाब में

कुछ शेर शायद उस को पसंद आ गए 'कमाल'
होंटों के कुछ निशाँ हैं तुम्हारी किताब में

  - Kamal Ahmad Siddiqi

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kamal Ahmad Siddiqi

As you were reading Shayari by Kamal Ahmad Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Kamal Ahmad Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari