ye zikr aaine se subh-o-shaam kis ka hai | ये ज़िक्र आइने से सुब्ह-ओ-शाम किस का है

  - Kamal Ahmad Siddiqi

ye zikr aaine se subh-o-shaam kis ka hai
jo gungunaate ho har-dam kalaam kis ka hai

bhare hue hain sabhi sirf ek khaali hai
agar ye mera nahin hai to jaam kis ka hai

jo ahl-e-zarf hain pyaase wahi hain mehfil mein
ye daur kis ka hai ye intizaam kis ka hai

hamaare naam pe kya kya nahin hua hai yahan
zara pata to chalaao nizaam kis ka hai

tumhaare raaz jo ifshaa hue hain duniya par
nahin ye kaam tumhaara to kaam kis ka hai

nishaan suraagh na ho ye tumhaara tarz-e-khaas
ye qatl-e-aam magar tarz-e-aam kis ka hai

kamaal ne jo padha waqt-e-qatl maqtal mein
suna hua sa laga vo kalaam kis ka hai

ये ज़िक्र आइने से सुब्ह-ओ-शाम किस का है
जो गुनगुनाते हो हर-दम कलाम किस का है

भरे हुए हैं सभी सिर्फ़ एक ख़ाली है
अगर ये मेरा नहीं है तो जाम किस का है

जो अहल-ए-ज़र्फ़ हैं प्यासे वही हैं महफ़िल में
ये दौर किस का है ये इंतिज़ाम किस का है

हमारे नाम पे क्या क्या नहीं हुआ है यहाँ
ज़रा पता तो चलाओ निज़ाम किस का है

तुम्हारे राज़ जो इफ़शा हुए हैं दुनिया पर
नहीं ये काम तुम्हारा तो काम किस का है

निशाँ सुराग़ न हो ये तुम्हारा तर्ज़-ए-ख़ास
ये क़त्ल-ए-आम मगर तर्ज़-ए-आम किस का है

'कमाल' ने जो पढ़ा वक़्त-ए-क़त्ल मक़्तल में
सुना हुआ सा लगा वो कलाम किस का है

  - Kamal Ahmad Siddiqi

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kamal Ahmad Siddiqi

As you were reading Shayari by Kamal Ahmad Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Kamal Ahmad Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari