jin ankhadiyon mein na tha kuchh sharaaraton ke siva
un ankhadiyon mein nahin kuchh bhi hasraton ke siva
labon pe mauj-e-tabassum ka ahad beet gaya
labon pe aaj nahin kuchh shikaayaton ke siva
vo anjuman ka tasavvur kare to kaise kare
jise naseeb na ho kuchh bhi khalvaton ke siva
ik aaina hoon junoon-o-khirad ka aaina
meri nazar mein nahin kuchh bhi hairaton ke siva
usi se pooch mere intizaar ka aalam
jise na kuchh bhi mayassar ho fursaton ke siva
gudaaz-e-saagar-o-paimaana kaun samjha hai
mere siva mere dil ki nazaakaton ke siva
kami usi mein tamannaayein jalva-gar theen kamaal
kuchh aaj dil mein nahin hai zaraahaton ke siva
जिन अँखड़ियों में न था कुछ शरारतों के सिवा
उन अँखड़ियों में नहीं कुछ भी हसरतों के सिवा
लबों पे मौज-ए-तबस्सुम का अहद बीत गया
लबों पे आज नहीं कुछ शिकायतों के सिवा
वो अंजुमन का तसव्वुर करे तो कैसे करे
जिसे नसीब न हो कुछ भी ख़ल्वतों के सिवा
इक आइना हूँ जुनून-ओ-ख़िरद का आईना
मिरी नज़र में नहीं कुछ भी हैरतों के सिवा
उसी से पूछ मिरे इंतिज़ार का आलम
जिसे न कुछ भी मयस्सर हो फ़ुर्सतों के सिवा
गुदाज़-ए-साग़र-ओ-पैमाना कौन समझा है
मिरे सिवा मिरे दिल की नज़ाकतों के सिवा
कमी उसी में तमन्नाएँ जल्वा-गर थीं 'कमाल'
कुछ आज दिल में नहीं है जराहतों के सिवा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kamal Ahmad Siddiqi
our suggestion based on Kamal Ahmad Siddiqi
As you were reading Aankhein Shayari Shayari