mera sar kab kisi darbaar mein kham hota hai | मेरा सर कब किसी दरबार में ख़म होता है

  - Kamal Ahmad Siddiqi

mera sar kab kisi darbaar mein kham hota hai
koocha-e-yaar mein lekin ye qadam hota hai

pursish-e-haal bhi itni ki main kuchh kah na sakoon
is takalluf se karam ho to sitam hota hai

shaikh may-khaane mein karta hai irm ki baatein
isee may-khaane ka ik gosha irm hota hai

ek dil hai ki ujad jaaye to basta hi nahin
ek but-khaana hai ujde to haram hota hai

raahbar raah-navardi se pareshaan hai kamaal
jis taraf jaaye mera naqsh-e-qadam hota hai

मेरा सर कब किसी दरबार में ख़म होता है
कूचा-ए-यार में लेकिन ये क़दम होता है

पुर्सिश-ए-हाल भी इतनी कि मैं कुछ कह न सकूँ
इस तकल्लुफ़ से करम हो तो सितम होता है

शैख़ मय-ख़ाने में करता है इरम की बातें
इसी मय-ख़ाने का इक गोशा इरम होता है

एक दिल है कि उजड़ जाए तो बस्ता ही नहीं
एक बुत-ख़ाना है उजड़े तो हरम होता है

राहबर राह-नवर्दी से परेशाँ है 'कमाल'
जिस तरफ़ जाए मिरा नक़्श-ए-क़दम होता है

  - Kamal Ahmad Siddiqi

Zulm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kamal Ahmad Siddiqi

As you were reading Shayari by Kamal Ahmad Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Kamal Ahmad Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Zulm Shayari Shayari