sharaab-khaana tira aisa intikhaab nahin hai
khawas peete hain sab ke liye sharaab nahin hai
shikaar zulm ka jo hain unhin pe hai har shiddat
vo jo hain zalim un par koi i'taab nahin hai
ye tera farz hai saaqi mile sabhi ko barabar
hai tera mansab saaqi koi khitaab nahin hai
yahan to koi nahin aadmi sabhi hain farishte
mere alaava yahan par koi bhi kharab nahin hai
farogh-e-kaifiat-e-baada se hua hai ye shaadaab
na padh ye chehra mera ye koi kitaab nahin hai
saraab waahima nazaron ke saamne maujood
dhadak raha hai jo idraak mein saraab nahin hai
शराब-ख़ाना तिरा ऐसा इंतिख़ाब नहीं है
ख़वास पीते हैं सब के लिए शराब नहीं है
शिकार ज़ुल्म का जो हैं उन्हीं पे है हर शिद्दत
वो जो हैं ज़ालिम उन पर कोई इ'ताब नहीं है
ये तेरा फ़र्ज़ है साक़ी मिले सभी को बराबर
है तेरा मंसब साक़ी कोई ख़िताब नहीं है
यहाँ तो कोई नहीं आदमी सभी हैं फ़रिश्ते
मिरे अलावा यहाँ पर कोई भी ख़राब नहीं है
फ़रोग़-ए-कैफ़ियत-ए-बादा से हुआ है ये शादाब
न पढ़ ये चेहरा मिरा ये कोई किताब नहीं है
सराब वाहिमा नज़रों के सामने मौजूद
धड़क रहा है जो इदराक में सराब नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kamal Ahmad Siddiqi
our suggestion based on Kamal Ahmad Siddiqi
As you were reading Child labour Shayari Shayari