gar kabhi koi aaina dekho | गर कभी कोई आइना देखो

  - Kinshu Sinha

gar kabhi koi aaina dekho
apne bheetar chhupa khuda dekho

zindagi ekdam ganit si hai
maut hai ek falsafa dekho

naukri lag gai hai bitiya ko
ek qaidi hua rihaa dekho

abr par jaake abr mat dekho
baap ke pa ka aablaa dekho

jaam se daalo jaan yaari mein
in khasaaron mein faayda dekho

kaun awaaz de raha dekho
chhoota hai kiska bas zara dekho

jeete logon ke ghar se pehle kinshu
haare logon ka raasta dekho

गर कभी कोई आइना देखो
अपने भीतर छिपा ख़ुदा देखो

ज़िन्दगी एकदम गणित सी है
मौत है एक फ़लसफ़ा देखो

नौकरी लग गई है बिटिया को
एक क़ैदी हुआ रिहा देखो

अब्र पर जाके अब्र मत देखो
बाप के पा का आबला देखो

जाम से डालो जान यारी में
इन ख़सारों में फ़ायदा देखो

कौन आवाज़ दे रहा, देखो
छूटा है किसका बस, ज़रा देखो

जीते लोगों के घर से पहले ‛किंशु’
हारे लोगों का रास्ता देखो

  - Kinshu Sinha

Aaina Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kinshu Sinha

As you were reading Shayari by Kinshu Sinha

Similar Writers

our suggestion based on Kinshu Sinha

Similar Moods

As you were reading Aaina Shayari Shayari