aaj phir tez baarish aayi | आज फिर तेज बारिश आई

  - Kumar Rishi

aaj phir tez baarish aayi
aur baha le gai
ek majdoor ki jhopdi
ek chidiya ka ghonsla
ek kisaan ka khet
ek deewaar jo kal hi
gareeb majdoor auraton
ne taptee dhoop mein banaai thi
bas nahin baha paai to
bhrashtachar ki neev par khadi
vo aalishaan imarat
jo tez baarish par hansati thi
ek sawaal ab bhi zehan mein kaundhta hai
kya prakriti ka nyaay karne ka
yahi tareeka hai

आज फिर तेज बारिश आई
और बहा ले गई
एक मजदूर की झोपड़ी
एक चिड़िया का घोंसला
एक किसान का खेत
एक दीवार जो कल ही
ग़रीब मजदूर औरतों
ने तपती धूप में बनाई थी
बस नहीं बहा पाई तो
भ्रष्टाचार की नींव पर खड़ी
वो आलीशान इमारत
जो तेज बारिश पर हँसती थी
एक सवाल अब भी ज़हन में कौंधता है
क्या प्रकृति का न्याय करने का
यही तरीका है।

  - Kumar Rishi

Parinda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kumar Rishi

As you were reading Shayari by Kumar Rishi

Similar Writers

our suggestion based on Kumar Rishi

Similar Moods

As you were reading Parinda Shayari Shayari