banenge kuchh to honge khush bharam ye door ho gaye | बनेंगे कुछ तो होंगे ख़ुश भरम ये दूर हो गए

  - KUNAL

banenge kuchh to honge khush bharam ye door ho gaye
khushi nahin mili bhale safal zaroor ho gaye

sharaab pee hai jaan-e-jaan so tum se jhooth kya kahein
nasha magar hua nahin tere suroor ho gaye

adaalaton se ishq kii hamein saza mili hai yun
thi umr qaid pyaar mein wa be-qusoor ho gaye

jo aayi sar pe chhat to phir jhukaane sar ko lag gaye
baghawati the jo kabhi vo jee huzoor ho gaye

humeen gire the aasmaan se aur gir ke mar gaye
bachaane doosron ko phir humeen khajoor ho gaye

thi pakde haath duniya ek doosre mein khwaab the
qareeb aaye duniya ke p khwaab choor ho gaye

chamak uthe ki loot gaye batao yaaron tum hi ab
jala ke khud ko rakh diya to koh-e-noor ho gaye

बनेंगे कुछ तो होंगे ख़ुश भरम ये दूर हो गए
ख़ुशी नहीं मिली भले सफल ज़रूर हो गए

शराब पी है जान-ए-जाँ सो तुम से झूठ क्या कहें
नशा मगर हुआ नहीं तेरे सुरूर हो गए

अदालतों से इश्क़ की हमें सज़ा मिली है यूँ
थी उम्र क़ैद प्यार में व बे-क़ुसूर हो गए

जो आई सर पे छत तो फिर झुकाने सर को लग गए
बग़ावती थे जो कभी वो जी हुज़ूर हो गए

हमीं गिरे थे आसमाँ से और गिर के मर गए
बचाने दूसरों को फिर हमीं खजूर हो गए

थी पकड़े हाथ दुनिया एक दूसरे में ख़्वाब थे
क़रीब आए दुनिया के प ख़्वाब चूर हो गए

चमक उठे कि लुट गए बताओ यारों तुम ही अब
जला के ख़ुद को रख दिया तो कोह-ए-नूर हो गए

  - KUNAL

More by KUNAL

As you were reading Shayari by KUNAL

Similar Writers

our suggestion based on KUNAL

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari