dil apna shab-e-hijr mein raat bhar | दिल अपना शब-ए-हिज्र में रात भर

  - Latif Shah Shahid

dil apna shab-e-hijr mein raat bhar
latkata raha dard ke daar par

chhuti teri chaukhat chhuta apna ghar
mohabbat mein yun ho gaye dar-b-dar

kabhi ho hi jaayenge gham se rihaa
kabhi mil hi jaayegi apni khabar

taghaaful se badhti hain ruswaaiyaan
zara ham pe bhi daaliye ik nazar

hua apne hi haath se apna khun
hua ishq ka ma'arka khoob sar

mohabbat mein shaahid ko raas aas ka
na gulshan na sehra na masjid na ghar

दिल अपना शब-ए-हिज्र में रात भर
लटकता रहा दर्द के दार पर

छुटी तेरी चौखट छुटा अपना घर
मोहब्बत में यूँ हो गए दर-ब-दर

कभी हो ही जाएँगे ग़म से रिहा
कभी मिल ही जाएगी अपनी ख़बर

तग़ाफ़ुल से बढ़ती हैं रुस्वाइयाँ
ज़रा हम पे भी डालिए इक नज़र

हुआ अपने ही हाथ से अपना ख़ूँ
हुआ इश्क़ का मा'रका ख़ूब सर

मोहब्बत में 'शाहिद' को रास आस का
न गुलशन न सहरा न मस्जिद न घर

  - Latif Shah Shahid

Ummeed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Latif Shah Shahid

As you were reading Shayari by Latif Shah Shahid

Similar Writers

our suggestion based on Latif Shah Shahid

Similar Moods

As you were reading Ummeed Shayari Shayari