teri soorat se aashna hoon main
yun hi paagal nahin hua hoon main
dam-b-dam mujh ko aazmaate ho
ek duniya mein kya bacha hoon main
ajnabi hai vo khoob-roo lekin
lag raha hai ki jaanta hoon main
naag dasta to mar na jaata main
haaye is zulf ka dasa hoon main
teri duniya mein kyun rahoon ab jab
teri mehfil se uth chuka hoon main
chaach khushiyon ki pee nahin saka
ishq ke doodh ka jala hoon main
meri fariyaad sun nahin sakte
aur da'wa hai ki khuda hoon main
teri dahleez par qadam roke
jaane kis soch mein khada hoon main
dil se nazdeek yaar se shaahid
door ho kar bhi kab juda hoon main
तेरी सूरत से आश्ना हूँ मैं
यूँ ही पागल नहीं हुआ हूँ मैं
दम-ब-दम मुझ को आज़माते हो
एक दुनिया में क्या बचा हूँ मैं
अजनबी है वो ख़ूब-रू लेकिन
लग रहा है कि जानता हूँ मैं
नाग डसता तो मर न जाता मैं
हाए इस ज़ुल्फ़ का डसा हूँ मैं
तेरी दुनिया में क्यों रहूँ अब जब
तेरी महफ़िल से उठ चुका हूँ मैं
छाछ ख़ुशियों की पी नहीं सकता
इश्क़ के दूध का जला हूँ मैं
मेरी फ़रियाद सुन नहीं सकते
और दा'वा है कि ख़ुदा हूँ मैं
तेरी दहलीज़ पर क़दम रोके
जाने किस सोच में खड़ा हूँ मैं
दिल से नज़दीक यार से 'शाहिद'
दूर हो कर भी कब जुदा हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Latif Shah Shahid
our suggestion based on Latif Shah Shahid
As you were reading Pagal Shayari Shayari