tujh se rishta na koi khaas shanaasaai hai | तुझ से रिश्ता न कोई ख़ास शनासाई है

  - Latif Shah Shahid

tujh se rishta na koi khaas shanaasaai hai
phir bhi ik umr se dil tera tamannaai hai

ab ke ummeed-e-wafa baandh raha hoon jis se
log kahte hain ki vo shakhs bhi harjaai hai

dil ki har baat se inkaar bhi naa-mumkin hai
maan lene mein bhi andesha-e-ruswaai hai

khud hi vo dard bana khud hi dava ban baitha
khoob us shakhs ka andaaz-e-masihaai hai

ab ke yun toot ke bikhra hoon kisi ki khaatir
mujh ko khud apne bikharna ki sada aayi hai

maanta hoon tiri aankhen bhi dubo deti hain
lekin apne bhi khayaalaat mein gehraai hai

jaa-b-jaa khaak pe toote hue par bikhre hain
khoob bulbul ne chahakne ki saza paai hai

sun ke meri vo jawaan-marg ka bole shaahid
kya vo sha'ir jo mere naam ka saudaai hai

तुझ से रिश्ता न कोई ख़ास शनासाई है
फिर भी इक उम्र से दिल तेरा तमन्नाई है

अब के उम्मीद-ए-वफ़ा बाँध रहा हूँ जिस से
लोग कहते हैं कि वो शख़्स भी हरजाई है

दिल की हर बात से इंकार भी ना-मुम्किन है
मान लेने में भी अंदेशा-ए-रुस्वाई है

ख़ुद ही वो दर्द बना ख़ुद ही दवा बन बैठा
ख़ूब उस शख़्स का अंदाज़-ए-मसीहाई है

अब के यूँ टूट के बिखरा हूँ किसी की ख़ातिर
मुझ को ख़ुद अपने बिखरने की सदा आई है

मानता हूँ तिरी आँखें भी डुबो देती हैं
लेकिन अपने भी ख़यालात में गहराई है

जा-ब-जा ख़ाक पे टूटे हुए पर बिखरे हैं
ख़ूब बुलबुल ने चहकने की सज़ा पाई है

सुन के मेरी वो जवाँ-मर्ग का बोले 'शाहिद'
क्या वो शाइ'र जो मिरे नाम का सौदाई है

  - Latif Shah Shahid

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Latif Shah Shahid

As you were reading Shayari by Latif Shah Shahid

Similar Writers

our suggestion based on Latif Shah Shahid

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari