phir wahi be-dili phir wahi maazrat | फिर वही बे-दिली फिर वही माज़रत

  - Liyaqat Ali Aasim

phir wahi be-dili phir wahi maazrat
bas bahut ho chuka zindagi maazrat

khud-kalaami se bhi rooth jaati hai tu
ab na boloonunga ai khaamoshi maazrat

dhoop dhal bhi chuki saaye uth bhi chuke
ab mere yaar kis baat ki maazrat

daad be-daad mein dil nahin lag raha
dosto shukriya shaayeri maazrat

be-khudi mein khudaai ka daava kiya
ai khuda dar-guzar ai khudi maazrat

tujh se guzri hui zindagi maang li
rabb-e-imrooz-o-farda-o-dee maazrat

ik nazar us ne dekha hai aasim chalo
door hi se sahi ho chuki maazrat

फिर वही बे-दिली फिर वही माज़रत
बस बहुत हो चुका ज़िंदगी माज़रत

ख़ुद-कलामी से भी रूठ जाती है तू
अब न बोलूँगा ऐ ख़ामुशी माज़रत

धूप ढल भी चुकी साए उठ भी चुके
अब मिरे यार किस बात की माज़रत

दाद बे-दाद में दिल नहीं लग रहा
दोस्तो शुक्रिया शाएरी माज़रत

बे-ख़ुदी में ख़ुदाई का दावा किया
ऐ ख़ुदा दर-गुज़र ऐ ख़ुदी माज़रत

तुझ से गुज़री हुई ज़िंदगी माँग ली
रब्ब-ए-इमरोज़-ओ-फ़र्दा-ओ-दी माज़रत

इक नज़र उस ने देखा है 'आसिम' चलो
दूर ही से सही हो चुकी माज़रत

  - Liyaqat Ali Aasim

Khuddari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Liyaqat Ali Aasim

As you were reading Shayari by Liyaqat Ali Aasim

Similar Writers

our suggestion based on Liyaqat Ali Aasim

Similar Moods

As you were reading Khuddari Shayari Shayari