ab kahaan pyaar vyaar basti mein | अब कहाँ प्यार व्यार बस्ती में - lokesh kumar

ab kahaan pyaar vyaar basti mein
dil hua sogwaar basti mein

aadmi bhar gaya ana se ab
pad gayi hai daraar basti mein

khelta tha kabhi jahaan bachpan
hai wahan ab deewar basti mein

zindagi jab bhi dard deti hai
hota hoon main shikaar basti mein

zulm hote to sab ne dekha tha
kya lagata guhaar basti mein

muflisi chaayi to mujhe sabne
kar diya darkinaar basti mein

lutne waale haaye apne the
ab hoon be-gamgusaar basti mein

aankhen bhar aayi kyun tarab teri
kyun hua beqaraar basti mein

अब कहाँ प्यार व्यार बस्ती में
दिल हुआ सोगवार बस्ती में

आदमी भर गया अना से अब
पड़ गयी है दरार बस्ती में

खेलता था कभी जहाँ बचपन
है वहाँ अब दिवार बस्ती में

ज़िन्दगी जब भी दर्द देती है
होता हूँ मैं शिकार बस्ती में

ज़ुल्म होते तो सब ने देखा था
क्या लगाता गुहार बस्ती में

मुफ़्लिसी छायी तो मुझे सबने
कर दिया दरकिनार बस्ती में

लुटने वाले हाए अपने थे
अब हूँ बे-गमगुसार बस्ती में

आँखें भर आयी क्यूँ "तरब" तेरी
क्यूँ हुआ बेक़रार बस्ती में

- lokesh kumar
0 Likes

Khuddari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by lokesh kumar

As you were reading Shayari by lokesh kumar

Similar Writers

our suggestion based on lokesh kumar

Similar Moods

As you were reading Khuddari Shayari Shayari