us dasht ka jo raabta hai tishnagi ke saath | उस दश्त का जो राब्ता है तिश्नगी के साथ

  - M S Mahawar

us dasht ka jo raabta hai tishnagi ke saath
tu khush rahe dua hai magar ik kami ke saath

tujh se bichhad ke ham mare to jaan nahin magar
phir kar liye ye faasle aur zindagi ke saath

dhoondh ab shajar pahaad parinde hawa kahi
ukta gaya hai aadmi ab aadmi ke saath

vo silsila ajeeb tha tanhaai ka meri
sab ke rahe qareeb magar dushmani ke saath

rona na dhona jhagda na koi shikaayaten
vo rishta tod bhi gaya to saadgi ke saath

sab sochte rahe ki mohabbat hi chhod di
pakda gaya vo krishna usi baansuri ke saath

guzra jo koi apne bhi ghar phir nahin gaya
hai kaun sa ye rishta tiri us gali ke saath

ek ek yaad teri pighalti hai barf si
kya hi maza sharaab ka hai teergi ke saath

uth kar chala gaya vo kahi aur bazm se
achha nahin hua ye meri shaay'ri ke saath

उस दश्त का जो राब्ता है तिश्नगी के साथ
तू ख़ुश रहे दुआ है मगर इक कमी के साथ

तुझ से बिछड़ के हम मरे तो जाँ नहीं मगर
फिर कर लिए ये फ़ासले और ज़िंदगी के साथ

ढूँढ अब शजर पहाड़ परिंदे हवा कहीं
उक्ता गया है आदमी अब आदमी के साथ

वो सिलसिला अजीब था तन्हाई का मिरी
सब के रहे क़रीब मगर दुश्मनी के साथ

रोना न धोना झगड़ा न कोई शिकायतें
वो रिश्ता तोड़ भी गया तो सादगी के साथ

सब सोचते रहे कि मोहब्बत ही छोड़ दी
पकड़ा गया वो कृष्न उसी बाँसुरी के साथ

गुज़रा जो कोई अपने भी घर फिर नहीं गया
है कौन सा ये रिश्ता तिरी उस गली के साथ

एक एक याद तेरी पिघलती है बर्फ़ सी
क्या ही मज़ा शराब का है तीरगी के साथ

उठ कर चला गया वो कहीं और बज़्म से
अच्छा नहीं हुआ ये मिरी शाइ'री के साथ

  - M S Mahawar

Raqeeb Shayari

Our suggestion based on your choice

More by M S Mahawar

As you were reading Shayari by M S Mahawar

Similar Writers

our suggestion based on M S Mahawar

Similar Moods

As you were reading Raqeeb Shayari Shayari