main ne kaha ye mulk ek hai | मैं ने कहा ये मुल्क एक है

  - Madhav Awana

main ne kaha ye mulk ek hai
to sab ke liye ek sa ho qaanoon
to unhonne kaha ki
main firka-parast ki tarah bolta hoon
main ne kaha ki mandir masjid se ziyaada zaroori hai
ta'leem har insaan ko aur har pet ko roti
to unhonne kaha ki
main naastik sa eeshwar ko zaroorat mein tolta hoon
main ne kaha ki tum ham ne chune ho
to hamaara vikaas karo
na sirf apni tijoriyaan bharo
to unhonne kaha ki
main be-wajh raaz kholta hoon
main ne kaha saara mulk ek hai
bas kuchh din mein badal denge
mil kar ham saara nizaam
vo kuchh nahin bole ab
bas hanste rahe
meri baat aur mere khayaalaat par
ab vo sab zor se hans rahe hai
aur mere paanv jaise dharti mein dhans rahe hain
main jaanta hoon ki vo saare mulk par hans rahe hain

मैं ने कहा ये मुल्क एक है
तो सब के लिए एक सा हो क़ानून
तो उन्होंने कहा कि
मैं फिरका-परस्त की तरह बोलता हूँ
मैं ने कहा कि मंदिर मस्जिद से ज़ियादा ज़रूरी है
ता'लीम हर इंसान को और हर पेट को रोटी
तो उन्होंने कहा कि
मैं नास्तिक सा ईश्वर को ज़रूरत में तोलता हूँ
मैं ने कहा कि तुम हम ने चुने हो
तो हमारा विकास करो
न सिर्फ़ अपनी तिजोरियाँ भरो
तो उन्होंने कहा कि
मैं बे-वज्ह राज़ खोलता हूँ
मैं ने कहा सारा मुल्क एक है
बस कुछ दिन में बदल देंगे
मिल कर हम सारा निज़ाम
वो कुछ नहीं बोले अब
बस हँसते रहे
मेरी बात और मेरे ख़यालात पर
अब वो सब ज़ोर से हँस रहे है
और मेरे पाँव जैसे धरती में धँस रहे हैं
मैं जानता हूँ कि वो सारे मुल्क पर हँस रहे हैं

  - Madhav Awana

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Madhav Awana

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari