badi takleef dete hain ye rishte
yahi uphaar dete roz apne
zameen se aasmaan tak phail jaayen
dhanak mein khwahishon ke rang bikhre
nahin toote kabhi jo mushkilon se
bahut khuddaar ham ne log dekhe
ye karwa sach hai yaaron muflisi ka
yahan har aankh mein hain toote sapne
kahaan le jaayega mujh ko zamaana
badi uljhan hai koi hal to nikle
बड़ी तकलीफ़ देते हैं ये रिश्ते
यही उपहार देते रोज़ अपने
ज़मीं से आसमाँ तक फैल जाएँ
धनक में ख़्वाहिशों के रंग बिखरे
नहीं टूटे कभी जो मुश्किलों से
बहुत ख़ुद्दार हम ने लोग देखे
ये कड़वा सच है यारों मुफ़्लिसी का
यहाँ हर आँख में हैं टूटे सपने
कहाँ ले जाएगा मुझ को ज़माना
बड़ी उलझन है कोई हल तो निकले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mahaveer Uttaranchali
our suggestion based on Mahaveer Uttaranchali
As you were reading Bechaini Shayari Shayari