ghareebon ko faqat upadesh ki ghutti pilaate ho
bade aaraam se tum chain ki bansi bajaate ho
hai mushkil daur sookhi rotiyaan bhi door hain ham se
maze se tum kabhi kaajoo kabhi kishmish chabaate ho
nazar aati nahin muflis ki aankhon mein to khush-haali
kahaan tum raat-din jhoothe unhen sapne dikhaate ho
andhera kar ke baithe ho hamaari zindagaani mein
magar apni hatheli par naya suraj mustaqil ho
vyavasthaa kashtkaari kyun na ho kirdaar aisa hai
ye janta jaanti hai sab kahaan tum sar jhukaate ho
ग़रीबों को फ़क़त उपदेश की घुट्टी पिलाते हो
बड़े आराम से तुम चैन की बंसी बजाते हो
है मुश्किल दौर सूखी रोटियाँ भी दूर हैं हम से
मज़े से तुम कभी काजू कभी किशमिश चबाते हो
नज़र आती नहीं मुफ़्लिस की आँखों में तो ख़ुश-हाली
कहाँ तुम रात-दिन झूठे उन्हें सपने दिखाते हो
अँधेरा कर के बैठे हो हमारी ज़िंदगानी में
मगर अपनी हथेली पर नया सूरज उगाते हो
व्यवस्था कष्टकारी क्यूँ न हो किरदार ऐसा है
ये जनता जानती है सब कहाँ तुम सर झुकाते हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mahaveer Uttaranchali
our suggestion based on Mahaveer Uttaranchali
As you were reading Nigaah Shayari Shayari