teer-o-talwaar se nahin hota | तीर-ओ-तलवार से नहीं होता

  - Mahaveer Uttaranchali

teer-o-talwaar se nahin hota
kaam hathiyaar se nahin hota

ghaav bharta hai dheere dheere hi
kuchh bhi raftaar se nahin hota

khel mein bhavna hai zinda to
farq kuchh haar se nahin hota

sirf nuksaan hota hai yaaro
laabh takraar se nahin hota

us pe kal rotiyaan lapete sab
kuchh bhi akhbaar se nahin hota

तीर-ओ-तलवार से नहीं होता
काम हथियार से नहीं होता

घाव भरता है धीरे धीरे ही
कुछ भी रफ़्तार से नहीं होता

खेल में भावना है ज़िंदा तो
फ़र्क़ कुछ हार से नहीं होता

सिर्फ़ नुक़सान होता है यारो
लाभ तकरार से नहीं होता

उस पे कल रोटियाँ लपेटे सब
कुछ भी अख़बार से नहीं होता

  - Mahaveer Uttaranchali

Narazgi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mahaveer Uttaranchali

As you were reading Shayari by Mahaveer Uttaranchali

Similar Writers

our suggestion based on Mahaveer Uttaranchali

Similar Moods

As you were reading Narazgi Shayari Shayari