ajnabi marhale mere bas mein nahin
manzilen kaun si dastaras mein nahin
baat kuchh bhi na hai kyun pata hai nahin
raaz koi kabhi ham-nafs mein nahin
aaj bhi yaad hai gungunaana tera
aur vo ab kisi bhi jars mein nahin
phir musalsal tiri yaad aati rahi
aaj vo baat taar-e-nafs mein nahin
khet koi hare kyun na dikhte wahan
jang ki wajh ab ke baras mein nahin
kab talak bhaagta main manohar yahan
sirf hoon dastaras mein havas mein nahin
अजनबी मरहले मेरे बस में नहीं
मंज़िलें कौन सी दस्तरस में नहीं
बात कुछ भी न है क्यूँ पता है नहीं
राज़ कोई कभी हम-नफ़स में नहीं
आज भी याद है गुनगुनाना तेरा
और वो अब किसी भी जरस में नहीं
फिर मुसलसल तिरी याद आती रही
आज वो बात तार-ए-नफ़स में नहीं
खेत कोई हरे, क्यों न दिखते वहाँ
जंग की वज्ह अब के बरस में नहीं
कब तलक भागता, मैं 'मनोहर' यहाँ
सिर्फ़ हूँ दस्तरस में हवस में नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Baaten Shayari Shayari