bhalaai buraai wafa aur hi hai
bhale soch se hi safa aur hi hai
musaafir hoon mai bhi mera ghar jahaan hai
safar mein dikhi vo jafa aur hi hai
kare zulm koi kahi bhi kabhi bhi
bachenge vo kitni dafa aur hi hai
adaayein duaaein asar kar rahi hain
ibadat inaayat wafa aur hi hai
tadpate dhadkate ye dil hain manohar
yahan ishq me phir safa aur hi hai
भलाई बुराई वफ़ा और ही है
भले सोच से ही सफ़ा और ही है
मुसाफ़िर हूँ मै भी मेरा घर जहाँ है
सफ़र में दिखी वो जफ़ा और ही है
करे ज़ुल्म कोई कहीं भी कभी भी
बचेंगे वो कितनी दफ़ा और ही है
अदाएँ दुआएँ असर कर रही हैं
इबादत इनायत वफ़ा और ही है
तड़पते धड़कते ये दिल हैं मनोहर
यहाँ इश्क़ मे फिर सफ़ा और ही है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Child labour Shayari Shayari