chhota bada kaise hua hoti khabar
rakhte sada chhote badon par ik nazar
maujood jab ho husn saare ghar-b-ghar
kyun husn ko sab dhoondhte hain dar-b-dar
imkaan kii koii kami hoti nahin
har waqt tabdeeli bataaye hai asar
aansu kahaan jamte kabhi gaalon pe hi
jab garm tere gaal hi ho humsafar
khulti kahaan vo band dil kii khidkiyaan
hota nahin jab tak nigaahon ka asar
kya vaasta hota kisi se hi koii
shaayad mile hai phir manohar ham kidhar
छोटा बड़ा कैसे हुआ होती ख़बर
रखते सदा छोटे बड़ों पर इक नज़र
मौजूद जब हो हुस्न सारे घर-ब-घर
क्यूँ हुस्न को सब ढूँढ़ते हैं दर-ब-दर
इम्कान की कोई कमी होती नहीं
हर वक़्त तब्दीली बताए है असर
आँसू कहाँ जमते कभी गालों पे ही
जब गर्म तेरे गाल ही हो हमसफ़र
खुलती कहाँ वो बंद दिल की खिड़कियाँ
होता नहीं जब तक निगाहों का असर
क्या वास्ता होता किसी से ही कोई
शायद मिले है फिर 'मनोहर' हम किधर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Romance Shayari Shayari