dasht mein to darqat saare the | दश्त में तो दरख़्त सारे थे

  - Manohar Shimpi

dasht mein to darqat saare the
khoob unke dikhe nazare the

khwaab dekhe wahi nazaare the
dekh ke vo lage hamaare the

husn ke rang aur nyaare the
sirf usse hi isti'aare the

door se hi dikhe kabhi dhundle
jhilmilaate kai sitaare the

saath pal jo kabhi bitaaye the
haath phir se lage hamaare the

aankh mein vo tere dikhe saare
raat ke vo kahaan sitaare the

tere pehle kahaan akela the
khwaah vo hi kahaan hamaare the

दश्त में तो दरख़्त सारे थे
ख़ूब उनके दिखे नज़ारे थे

ख़्वाब देखे वही नज़ारे थे
देख के वो लगे हमारे थे

हुस्न के रंग और न्यारे थे
सिर्फ़ उससे ही इस्ति'आरे थे

दूर से ही दिखे कभी धुँदले
झिलमिलाते कई सितारे थे

साथ पल जो कभी बिताए थे
हाथ फिर से लगे हमारे थे

आँख में वो तेरे दिखे सारे
रात के वो कहाँ सितारे थे

तेरे पहले कहाँ अकेले थे
ख़्वाह वो ही कहाँ हमारे थे

  - Manohar Shimpi

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari