dosti ke haseen nazare the
mahz nanhen sabhi sitaare the
khelne ka abhi kahe hi kya
khoobsurat wahi nazare the
husn par jab kabhi hui baatein
sirf unse hi istiaare the
shor dariya kahaan kare hai ab
khoob soone lage kinaare the
door rah ke kabhi nahin milte
aasmaan mein dikhe vo taare the
phir manohar unhen na ham bhule
dost sacche wahi hamaare the
दोस्ती के हसीं नज़ारे थे
महज़ नन्हें सभी सितारे थे
खेलने का अभी कहे ही क्या
ख़ूबसूरत वही नज़ारे थे
हुस्न पर जब कभी हुई बातें
सिर्फ़ उनसे ही इस्तिआरे थे
शोर दरिया कहाँ करे है अब
ख़ूब सूने लगे किनारे थे
दूर रह के कभी नहीं मिलते
आसमांँ में दिखे वो तारे थे
फिर 'मनोहर' उन्हें न हम भूले
दोस्त सच्चे वही हमारे थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading haseen Shayari Shayari