ishq ki vo ik kahaani aur hai
josh mein ki khush-bayaani aur hai
vo muhabbat sirf pannon mein rahi
aashiqi ki be-zubaani aur hai
jab siyaani koi ladki ho vida
aankh mein dikhta vo paani aur hai
sang-dil ne jo bataai aur thi
ishq waali vo zabaani aur hai
log patthar dil kahaan hote yahan
ishq mein phir se rawaani aur hai
sirf dard-e-gham sunaau kyun abhi
dil-lagi to hai jawaani aur hai
heer-raanjha ishq karte the kabhi
vo muhabbat ki kahaani aur hai
hal chalaana aur hi hai khet mein
baag mein ki baagbaani aur hai
इश्क़ की वो इक कहानी और है
जोश में की ख़ुश-बयानी और है
वो मुहब्बत सिर्फ़ पन्नों में रही
आशिक़ी की बेज़ुबानी और है
जब सियानी कोई लड़की हो विदा
आँख में दिखता वो पानी और है
संग-दिल ने जो बताई और थी
इश्क़ वाली वो ज़बानी और है
लोग पत्थर दिल कहाँ होते यहाँ
इश्क़ में फिर से रवानी और है
सिर्फ़ दर्द-ए-ग़म सुनाऊँ क्यों अभी
दिल-लगी तो है जवानी और है
हीर-राँझा इश्क़ करते थे कभी
वो मुहब्बत की कहानी और है
हल चलाना और ही है खेत में
बाग़ में की बाग़बानी और है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Hausla Shayari Shayari